Tuesday, November 11, 2008

गुमनाम जिन्दगी

गुमनाम जिन्दगी

1

Jindagi me jab jine ke liye kuch nahi hota to ek maksad insan ko jine ka jaria dila deta hai.

Par jab maksad hi jindagi ko biran karta hai to insan apne app ko kabhi bhi relax nahi kar pata, aur kuchh pane ke maksad se hamesa bahut kuchh khota rahata hai par use malum tab padata hai jab apni un palo ko o yad karata hai jo dil ki gaharaio me eklote hasin pal ki tarah dabe rahate hai sayad yahi o yade hai jo use yehsas dilate hai ki usne jindagi me bahut kuchh khoya hai aur khota hi ja

raha hai. Kuchh bhi ho jindagi ki khusi ajj bhi use un yado me usake vartman se jada milati hai tabhi to ek lambi thaki jindagi ko aram dene k liye o kabhi kabhi un yado me kho jata hai aur chhehare

2

Pe na chhahte hue bhi ek muskan bikhar jati hai jo sayad o apni ajj ki jindagi me kho chukka hai.

Ajj mai bhi apne unhi dino ko yad kar raha hu jise mai kho chhuka hu o bachapan o ajadi dur tak asman k uspar jane ki chahat hamesa kuch naya karne aur naya dekhne ki tamanna mujhe pura to nahi par jitana yad hai vahi mere aj se jada sukun dene vala lamha hai sayad app k liya apka ajj bite kal se achha ho par mai itna to kah sakta hu utna romanch aur energetic nahi hoga .mai koi 5-6 ya aur bhi jada ka raha hunga .jab mari ankhe subah ye soch ke khulati thi ki ajj

3

To apna hai bas ji le jo bhi ho jitney ki chaaht aur romanch. sam hamesa kal ke sapne ke sath suru hoti.

Mai ek gav ka ladaka hu sayad tha ,tha matalab mai to hu par gav nahi hai sath me bas usaki ek parchai hai jo samay ke sath dhudali hoti ja rahi hai ya to kahe aur bhi gaharaio me samati ja rahi hai

.mera gv ek chhota sa par dher sare sapno ke sath apne logo ko vo sari khusi de raha tha jo vo chahate the bina parvah kiye ki ye jo aj usake apne hai kal ko use yad bhi karege ya nahi.

Mere jinadagi bhi ab us mod pe pahuch chuki thi jaha mai kuch dekh sakta tha kuch samajhh sakta tha ya phir usi me kho jata tha aur tab tak kosis karata jab

4

tak kuchh sanajh jata aur ise dauran kuchh bate jehan me samati rahati thi aur hame ehsas bhi nahi hota ki yahi bate kabi mujhe apani jindagi ki sabse badi pugi ban jayegi .

Kisi ne sach hi kaha hai ki dur ki soch k liye dur tak dekhana jarurui hota hai .

Khet aur khula pan to gav ki pahachan hoti hai jisme vosari khusi samahit hoti hai jiski har koi kabhi na khabi chahat rakhata hai.

App kahi bhi bath k apni najro ko bina kahi takraye dur tak dekh sakte hai aur vosari kalpanaye kar sakte hai jitna appka dimag sath deta hai.

5

Khet me baith ke khule asman ki taraf najare gadakar badlo ke bich sapne bunana kise nahi bhata.

Tabhi nigah anyas hi us choti si chidiya pe tik jati jo na jane kaha ko par apne dun me gungunate chali ja rahi ahi tab tak najare use dekati jab tak ki vo akho ko dhokha de kahi dur asman ki khuli sundarta me kho jati. Tab man bichalit hota aur sochata akhir q vo itani dur chali gai yaha bhi to ruk sakati thi.

Knitian in KNIT

KNIT